Dheeray se sarakti hai
Dheery se sarakti hai raat
os k aanchal ki tarha,
Uska chehra nazar ata hai
jheel main kanwal ki tarha,
Baad muddat os ko dekha to
jism o jaan ko youn laga,
Pyasi zameen pe jaisy koi bars
gaya badal ki tarha,
Roz kehta hai seeny per sar rakh
ke raat bhar jaga'oun ga
sare shaam hi aaj phir sula
gaya wo kal ki tarha,
mera hi dil ka makeen nikla
wo shakhs "Wasi"
Aur main shehar bhar main dhundta raha
usey kisi pagal ki tarha.
(from Asmat khan)
Post a Comment