Ajab Masoom Ladki Hai
Ajab Masoom Ladki Hai
Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi
Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,
Labels: Urdu Shayari
Labels: Urdu Romantic SMS, Urdu Shayari
Yeh zindagi tere saath ho,
yeh aarzoo din raat ho,
main tere sung sung chalon
tou har safar par mere saath ho,
main kanton par bhi chal paron
tere piyar ki jab barsat ho,
kabhi shaam dhale jub ham milen
na din dhale na raat ho,
yeh zindagi tere saath ho,
yeh aarzoo din raat ho.
Labels: Urdu Romantic SMS, Urdu Shayari
Barson ki Chaht ko ik pal main badalte dekha humne,
toot ker chahne walon ko baat se mukarte dekha humne,
naaz kartay thay jo apni wafaoon par
unhi ko bewafai kartay dekha humne,
kaisay saja lain sapnay apni udaas ankhon main
har khwab ko toot kar bikhartay dekha hai humne,
kartay thay jo wada hamesha saath rehnay ka
phir unhi ko rasta badaltay dekha humne,
aitbar nahin raha kisi per ab to
kya karrain is aitbar ko kaee martba martay dekha humne.
Labels: Urdu Shayari