Kangan کنگن

Kanganکنگن-
کاش میں تیرے حسین ہاتھ کا کنگن ہوتا
Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Pyar Se Chaah Se Bade Armaan Ke Saath
Apni Naazuk Si Kalayee Mein Charrhati Mujh Ko
Aur Betaabi Se Furqat Ke Lamhon Mein
Tu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghoomaati Mujhko
Main Tere Haath Ki Khushboo Se Mehek Sa Jaata
Jab Kabhi Mood Main Aa Kar Mujhe Chuma Karti
Tere Honton Ki Hiddat Se Dehek Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Ke Safar Par Jaati
Marmarin Haath Ka Ek Takya Banaya Karti
Main Tere Kaan Se Lag Kar Kayee Baatein Karta
Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chooma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholne Lagti Jaanaan
Apni Aankhon Ko Tere Husn Se Khira Karta
Mujhko Betaab Sa Rakhta Teri Chaahat Ka Nasha
Main Teri Rooh Ke Gulshan Main Mehekta Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Main Khanakta Rehta
Kuch Nahin To Younhi Be Naam Sa Bandhan Hota
Kaash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota.


Newer Posts Older Posts Home